Wednesday, September 25, 2013

Intezaar



Intezaar kiska kar raha hun main?
Aankhon mein kyun hai yeh beychaini?

Kinarey pey khada dekh raha hun main,
merey khayalon key leheron mein doob raha hun main.

Ruki hui si lag rahi hai yeh duniya, 
thama hua sa lag raha hai yeh aasaman.

Palkey hain basayi mainey kiskey liye?
Jindagi, yeh intezaar hai kiska tumhey?